hama waqt ranj-o-malal kya jo guzar gaya so guzar gaya
use yaad kr k na dil dukha jo guzar gaya so guzar gaya..
na gila kia na khafa hue,yunhi raste mei juda hue
na tu bewafa na mein bewafa jo guzar gaya so guzar gaya..
wo wafaian then ya jafain then,na ye soch kis ki khatain then
wo tera ha usko gale laga jo guzar gaya so guzar aya..
tujhe aitbar-o-yaqeen nai,nai duniya itni buri nai
na malal kar mere sath aa jo guzar gaya so guzar gaya..
wo udas dhoop samait kar kahin wadiyon mei utar chuka
use ab na de mere dil sada jo guzar gaya so guzar gaya..
ye safar bhi kitna taveel hai yahan waqt bhi kitna qaleel hai
kahan laut kar koi aeyga jo guzar gaya so guzar gaya..
wo ghazal ki ik kitab tha,wo gulon mai ik gulaab tha
zara dair ka ik khawab tha jo guzar gaya so guzar gaya..
mujhe patjhar ki kahanian na suna suna k udas kar
tu khizan ka phool hai muskura jo guzar gaya so guzar gaya.
Bookmarks