Har pal tu khushyon main khilay
Mahkain sada din raat teray
Khud ko kabhi na tanha samjhna
Mein hoon hur dam sath tere
************ ********* ********* *********
Ghazal son kar pareshan ho gaye kya
Kisi ke dehan main tum bhi kho gay kya
Yeh beygangi pehlay tu na thee
Kaho tum bhi kisi ke hogay kya
************ ********* ********* *********
Karam karo k sitam karo hum gila nahin kartay
Khiza main phool yaqenan khila nahin kartay
Mila do khak main hum ko magar khiyal rahay
Hum jasy loog dobara mila nahin kartay
************ ********* ********* *********
Is dil say tere yad bholai nahin jati
Yeh pyar ki dolat hay lotai nahin jati
Is dil say kesay tumhain bholaon main
Har roz tu yeh dunya basai nahin jati
************ ********* ********* *********
Yeh zarori nahin par aisa howa karta hay
Jis ko chaho wahi dhoka diya karta hay
Qasmain khata hay woh ehad nibhanay ki
Or har moor pay rastay badal liya karta hay
************ ********* ********* *********
Gum me husne valo ko rulaya nahi jata
Lehro se paani hath aya nahi jaata
Honevale ho jaate hai khud hi apney
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jaata
************ ********* ********* *********
Woh to khusbu hai, hawaon main bikhar jaiga
Masla phool ka hai , phool kidher jaiga......
Hum to samjhe thay ke ek zakham hai bhar jaiga
Kya khaber thi ke rug-e-jaan mein utar jaiga
************ ********* ********* *********
Apne aaghaz se ajj tak zindagi teri
Hi yaad mein gum rahi...
Phir bhi jaane kyu ye ehsaas hai
Jaise chahat meri kam rahi!
************ ********* ********* *********
Na guzarna aaj ke din kisi masjid ke paas se
Kahi log chand samajhkar apna roza na tod de
Aur hokar khafa khuda tumse kahin
Husn banana chod de
************ ********* ********* *********
Jab bhi tanhai ne unko sataya hoga
Tab tab unko mera khayal aaya hoga
Gam ye nahi ke who bhul gaye humko
Gum ye hai ke ro ro kar bhulaya hoga
************ ********* ********* *********
Dar dar bhatakte hai arman ki tarha
Har koi milta hai anjaan ki tarha
Iss duniya se khushi ki aas kya rakhna
Yahan to gham bhi dete hai ehsaan ki tarha
************ ********* ********* *********
Yun to pyar karne waale tumai kum na milengay
Mil jaingay hum jaise bohot, per hum na milengay
************ ********* ********* *********
Raaste mein gire hai phool uthata hai koi koi
Mohabbat karte hain sabhi , nibhata hai koi koi
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge
Aitbaar Zara Soch Kar Karna
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge
************ ********* ********* *********
Tujay chanay walay kam naa hoon gaay
Waqat kaay sath shahid hum naa hoongaay
Chahay kisi ko kitna bhe pyar deyna
Lekin teri yaadon kay haqdar sirf hum hoon gaay
************ ********* ********* *********
Tufano me kashti ko kinaray bhi miltay hain
Jahan ma logon k saharay bhi miltay hain
Duniya me sub se payari ha zindagi
Khuch log zindgi se bi payarey miltay hain
************ ********* ********* *********
Ik tabasum honto pay raksa hai
Koshish hai gam chopane ki
Mere ahbaab samajte hai
Mujhe adat hai muskarane ki
************ ********* ********* *********
Zindagi main sada muskurate raho
Fasile kam karo dil milate raho
Dard kaisa bhi ho koi gham na karo
Rat kali sahi ankh nam na karo
Ek sitara bno jagmagate raho
************ ********* ********* *********
Kya mangu khuda se tume pane ke baad
Kiska karu intizar zindagi main tere aane ke baad
Kyun pyar me jaan luta deta hai log
Mujhe maloom hua tumhe apna banane ke baad
************ ********* ********* *********
Meri kisi khata pe naraz na hona
Apni pyari see muskan kabi na khona
Sukoon milta hai sunn kar apki hansi ko
Haste rehna zindgi me kbi udaas na hona
************ ********* ********* *********
Kabhi tujh ko chandini raatoon mein
Yaad aaye jo hum barsaaton mein
Nafrat hi se lena naam mera
Jo zikar mera ho baatoon mein
************ ********* ********* *********
Mere kuch dost mujhe yoon bhi sataane aaye
Khud mujhe mera hi afsaana sunane aaye
Din ke dhalte hue lamhon ki kiran wo lekar
Mere tareek muqaddar ko jagaane aaye
Bookmarks