ye mere dil nay kaisa diyaar mang liya
wafa ko chor ke os ka jo sitam mang liya
bujhay ye pyaas na meri samandaron say ab
mere honton nay jo aab,e,hayaat mang liya
abhi ke chain kisi tor na aa ye mujh ko
ke mere dard nay tera qaraar mang liya
wo raat bhar jo karwatain bani muqad'dar hain
ye meri neend nay bistar tumhara mang liya
ye mere zakham marhamon say na bharain gay ab
ke main nay jaan kar tujh say jo namak maang liya
jaanta hoon gul,e,nazik tujhay jo dhondna tha
baghbaan say main nay kaanton ka pata mang liya
Bookmarks