ye aalam shauq kaa dekhaa na jaae
wo but hai ya Khudaa dekhaa na jaae
ye kin nazaron se tum ne aaj dekha
ke teraa dekhana dekha na jaae
hamesha ke liye mujh se bichhad jaa
ye manzar barahaa dekha na jaae
Galat hai jo suna par aazamaa kar
tujhe ae baawafa dekha na jaaye
ye maharomi nahin paas-e-wafa hai
koi tere siva dekha na jaae
'Faraz' apane sivaa hai kaun teraa
tujhe tujh se judaa dekha na jaae
Bookmarks