kise khabar thi
aik musaafir mustaqil zanjeer kerlega
aur safar k sab adaab badal jaayenge
kise yaqeen tha
waqt ki rou jis din mutthi main band hogi
saari aankhain
saare khwaab badal jaayenge
humain khabar thi
humain yaqeen tha
tabhi to hum ne torr diya tha rishta e shuhrat e aam
tabhi to hum ne torr diya tha shehar e namood o naam
lekin ab mere ander ka kamzor aadmi
shaam sawere mujhe
derraane aajaata hai
naye safar main kia khoya hai kia paaya hai
sab samjhaane aajata hai .
Iftikhar Arif
Bookmarks