Thakan to agley safar k liye bahana tha
Ussey to yuun bhi kisi ore simt jana tha
Wahi chiragh bhujha jis ki loa qayamat thi
Ussi per zurb pari jo shajer purana tha
Mitaa-e-jaan ka badal aik paal ki sershari
Salook khuwab ka ankhoon sey taajrana tha
Hawa ki kaat shagufoon ney jazb ker li thee
Tabhi to lehjha khushboo bhi jarhana tha
Wahi firaq ki batein wahi hikayate wasal
Nayee kitaab ka aik aik werq puraana tha.
Iftikhar Arif
Bookmarks