Na kah saaqii bahaar aane ke din hain
Jigar ke daaG chhil jaane ke din hain
Adaa siku adaaney ke din hain
Abhii tu dur sharmaane ke din hain
Garebaan DhuuNdhate hain haath mere
Chaman men phuul khil jaane ke din hain
Tumhen raaz-e-muhabbat kyaa bataayen
Tumhare khelane khaane ke din hain
Ghataayen uudi uudi kah rahii hai
Mey-e-anguur khinchavaane ke din hain
Bookmarks