jo manain oopar likha hai pehle uska to jawab do. aur bar bar un 30 pages wali gustakhion ki rat kioon lagar akhi hai. ham par to lakhon etrazat hoe hain tumnain agar 30 pages dhoondlie to ismain konsi khas baat hai
main un 30 pages main se do ka jawab de chuka hoon. doosre page ka jawab jo mainain dia tha uska aap ki taraf se koi reply nahin aaya. meri har post par jhoo jhoot ke nare marte ho. agar qadiani jhoote hain hain to meri posts ko dalail se jhoota sabit karo.
pehle us page 2 wali gustakhian ka jo mainain jawab dia unko dalil se jhoota sabit karo phir main 3 page ka jawab doonga. agar tamam ka aik saath jawab de doon to phir tum jhoot jhoot ke naare maro ge. medan main ao aur muqablo karo. door se buzdali ke saath jhoot jhoot kehne se kia faida??
aur mujhe dozokh se darane dhamkane ki zaroorat nahin. yeh tumnain nahin banai hain. allahtala ki malkiet hain. woh jise chahe ismain bhaijai aur jise chahe si se bachae...
""nabi (SAW) ne farmaya ke beshakk yahud ke 71 , nasranion ke 72 firqe ho gae the...aur meri ummat ke 73 ho jaein ge leken 1 hee jamat ho gee jo haqq per ho gi aur jo saheeh rah per ho gi..."" yeh hadees durast hai aur ismain yeh bhi hai baqi sab 72 firke mil kar aik jamaat ko elahda karain ge. jesa keh 1974 main howa. ahmadi apne aap ko musalman hi kehalwate hain. aapnain nahin manana na manain
baqi sari dunya musalmanon ke ilawa hamain musalman hi kehti hai....
"JO ALLAH KE BANI KE FARMAN KO , UNN KE TAREEQE KO FOLLOW NAHIN KARTAA WO KAFIR , MURTADD AUR ZINDEEQ HAI..AUR INSHALLAH TAHALA JAHANUMI HAI...."
ham ahmadi allah ke farman quran par amal karte han aur seerat mustafam mohammad s.a.w par amal bhi karte hain. agar aap hamain iske bawajood kafir kehna chahte haain to beshak kehlain. hamain kia farq parta hai. hamko ko to sabr ki talqeen ki gai hai. ham aap ki tarah baat baat par marne marne par tayyar nahin hote....
"maine to sabb cheezen hawalon ke sath batataa hoon aur mirze mardood ki apni gandi kitabon se hawale pesh kartaa hoon leken tumm bass roz apne waddon se koi jhooti bat yaad kar ke aa kar yahan likh dete ho...." main har cheez dalail se sabit karta hoon, jhoote hawalon se nahin. aap ki misal aisi hai jese quran main aata hai "namzion ke lie halaqat hai..." to aap log istarah mirza sahib ki kitabon main se aik tehreer ma hawala dai detai ho. nah age nah peechai ka batate ho keh kis hawale se unhon nain yeh baat ki? aur yoon unhain naoozobillah kafir sabit karne ki koshish karte ho. is se agli ayat hai "woh namazi jo apni namazon se ghafil hain...." .daikha! poori ayat age aur peechai parne ke baad hi mazmoon ki haqeeqat khulti hai. isi tarha mirza ghulam ahmed a.l ki khali tehreerain post karke kuch sabit nah hoga jab tak pore mazmoon par age aur peechai nazre sani naho ho. unhon nain farmaya tha keh har ahmadi meri kutub ko kamazkam 3 bar parhe. agar unki kutab khilafe islam hotin to woh yeh kioon kehte???? kia uko yeh khof nah tha keh baqol aapke gustakhion se bhari kutub parkar ahmadi murtad ho jaen ge???
aur apne waddon se kia murad hai aapki? main jo kuch bhi likhta ahmadiyya dalail ke saath hi likhta hoo. kuch apni taraf se nahin likhta. aur jahan tak unke jhooote hone ka sawal hai toh woh aap ki apni rae hai. main to unhain jhoota nahin kehta. manain saudiarab ki government ko bura islie kaha keh ab unmain islam baqi nahin raha. zara socho agar woh waqai musalman hain to haram main najaiz aurrtain kion rakhte hain, angrez aurton se shaadi baise fakhar jante hain. masoom bachon ke saath zalimanah oont race karwate hain. joa aur sharab noshi main magan hain. musalman mumalik ki madad ki bejai aik kafir mulk aur dajjal america ki faujain apne hamsaya musalman muqaddas mulk iraq main bhaijne ka intazam kar ke detai hain. apna sara ropea paisa dajjal america ke bankon main fix karwaya howa hai. jo keh american economy ka 7% banta hai. woh jab chahain ise istemal karain.
11 septemer 2001 main jab twin towers crash howe to uske teh khanon main mulk kuwait ka besh baha sona maujood tha. tower crash ke baad yeh elaan karwaya geya keh sona crashing main jal kar khatam hogiya
kia sona bhi kabhi jal sakta hai??? musalmanon ka sara sona harap karne ke baad musalmaanon par hi ilzam aed kardiya keh unhon nain hi towers crash kie hain. aur sab nain yaqeen bhi karliya!!!! ab batao mirza ghulam ahmad a.l dajjal the keh america hai?????
kia yeh wohi arab musalman hain jo muhammad s.a.w ke zamanah main thay???? herat hai aap ki soch par. kia aap abhi bhi in gandi harkaton walon ko musalman kehte hai sirf islie keh woh khatmenabuwwat par qaim hain???
Bookmarks