دوستوں
کیا کوئی دوست مجھے احمد فراز کی غزل جس کے کچھ مصرعے یہ ہے، مہیا کرسکتا ہے
سنا ہے لوگ اسے ٹھہر کر دیکھتے ہیں
تو اس کے شہر میں چند دن ٹھہر کردیکھتے ہیں
دوستوں
کیا کوئی دوست مجھے احمد فراز کی غزل جس کے کچھ مصرعے یہ ہے، مہیا کرسکتا ہے
سنا ہے لوگ اسے ٹھہر کر دیکھتے ہیں
تو اس کے شہر میں چند دن ٹھہر کردیکھتے ہیں
فورم لنک شئیر کرنا سخت منع ہے نیکسٹ ٹائم ایسی غلطی سے پرہیز کریں۔۔۔۔ آئی ٹی دنیا ٹیم
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar may kuch din Thahar ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab hallon say
So apnay aap ko barbaad karke dekhtay hain
Suna hai dard ki gahak hai chashme naaz us ki
So ham bhi us ki gali say guzar ker dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai shero shayre se shagaf
So ham bhi majaze apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to batoon se phool jhartay hain
Ye baat hai to chaloo baat kar kay dekhtay hain
suna hai raat usay chand takta rehta hia
Sitaray bame falak se utar kay dekhtay hain
Suna hai hashr hain uski Gazaal si aankhen
Suna hai us ko hiran dasht bhar kay dekhtay hain
SUna hai Din ko usay Titliyan Satati hain
Suna hai raat ko jugnoo Tehar kay Dekhtay hain
Suna hai rat se barh kar hain kaakulen us ki
Suna hai sham ko sayee guzar kay dekhtay hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qayamat hai
So us ko surma faroosh aankh bhar kay dekhtay hain
Suna hai us ki laboon se gulab jaltey hain
So ham bahar par ilzam dhar kay dekhtay hain
Suna hai aaina tamsal hai jabeen us ki
Jo sada Dil hain Ban sanwar kay dekhtay hain
Suna hai jab se hamail hain uski gardan main
Mizaj aur hi lalo guhar kay dekhtay hain
Suna hai chashme tasawur se dashte imkan main
palang zaave us ki kamar ke dekhtay hain
suna hai us ke badan ki taraash aise hai
ke phool apni qabayee katar ke dekhate hain
Wo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahin
ke us shajar pe shagufay samar ke dekhtay hain
Bas aik nigaah se lutaa hai qaafila dil kaa
So rah ravaane tamannaa bhi Dar ke dekhate hain
sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
maken udhar ke bhi jalve idhar ke dekhate hain
Ruke to gardishen us kaa tavaaf karati hain
chale to us ko zamanay Thahar ke dekhate hain
kise naseeb ke be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar-o-dewaar ghar ke dekhate hain
kahaaniyaa hi sahi sab mubaalagay hi sahi
agar vo Khwaab hai taabir kar ke dekhate hain
Ab us ke shahar main Thehreen keh kooch kar jaiyeen
'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hai
Thanks you uncle! :P
Umair Bhai...Aap Ne Fezaan Ki Bhi Khawahish Poori Ki Aur Hamaari Bhi.......Kia Aleeshaan Qalaam Ha.....ALLAH PAK Ahmad Faraaz Ko Zindaggi Atta Farmaaey...Ameen
[FONT="Jameel Noori Nastaleeq"][CENTER][COLOR="Blue"][SIZE="5"][B]Coming Soon...:)[/B][/SIZE][/COLOR][/CENTER][/FONT]
بہت عمدہ انتخاب ہمارے ساتھ شیئر کیا ہے آپ نے
مزید کاانتظار رہے گا
شکریہ
شکریہ آپ کا
great
nice sharing.
Bookmarks