Umar Bahi pehlay to aap yeh batain kay aap sirf kuch data dusri sheet par copy karna chahte hian ya pehli sheet par jo kaam ho raha hai woh sare ka sare dusri sheet par jay..?
agar aap specific cell ka data dusri sheet par lay jana chahte hain to is ka aik asan hal jis sheet main data transfer karna hai wahan jaa kar us specifc cell main = ka button press karain aur phir mouse kay zariay us sheet main ajain jahan say data bhaijna hai aur us cell par click kar dain jis ka data bhaijna hai.
dusra tareeqa yeh kay aap pehli sheet kay un cells ko copy karain aur dusri sheet main ja kar paste special wali option main jain aur wahan paste link par click kar dain. is tarah aap sheet1 main jo bhi data type karain gay wo sheet2 main chala jay ga.
Bookmarks