Results 1 to 11 of 11

Thread: Taseer's poetry (Self Written) =-MUST READ-=

  1. #1
    taseer86's Avatar
    taseer86 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th August 2017 @ 02:17 PM
    Join Date
    29 Mar 2009
    Age
    37
    Posts
    57
    Threads
    15
    Credits
    1,050
    Thanked
    2

    Default Taseer's poetry (Self Written) =-MUST READ-=

    Assalamualaikum, friends , it is ABDUSSALAM TASEER (taseer86) . mein apna kalaam itdunya per bhej raha hoo. is silsilae mein pesh ki gai poetry pehli karri he. umeed he ke aap logo ko mera turze sukhan pasand aay ga. apne coments zaroor bhejye ga thankyou.............



    GHAZAL
    dil ki dharti pyaasi pyaasi dil ka aalam soona soona
    saager dil ka sookha sookha basti dil ki veeraa' veeraa'

    ik wehshat mehfil se hoti he tanhaai mei dil lagta he
    dil ki shanasai he gham se sukh se dil anjaa' anjaa'

    qatre milei uss tishna dil ko jo darya ka taalib he
    ye qatre bhi mil jate hei per milte hei arzaa' arzaa'

    ik shadeed kaifiatt mei talab e tabeeb e dard e mohbt ki
    ho ker gham se bojhal ye dil kehta he darmaa' darmaa'

    socha tha ke dard mila to dil mein nehaa' rakhoo' ga salaam
    he mujhe mila jab dard, huwa khud dard mei mai pinhaa' pinhaa'

    ==========------========================------=======


    he qeemti lazzat e yaad e mehboob
    guzer mager ae shaam zara aahista

    khoon ke ansoo bahaay hei din raat
    le ker ussi ka naam zara aahista

    chain tub aay mujh se wo mil ker
    ker de sozish e aalam zara aahista

    khoy ho kis ki yaad mein taseer
    kerne lage her kaam zara aahista

    =======-------------========------=


    GHAZAL
    AE WO PAIKER E FAKHR O NAAZ K CHEHRA TERA MAH E MUNEER JAISA HE
    SITUMGER HAAL MERE DIL KA TERI ULFAT MEI KISI DILGEER JAISA HE

    JO RAESHAMI ZULF KA TERI HO GAYA HOON ASEER MEIN JAANE JAAN
    TO SANAM MERA HAAL E DIL BHI HAAL E DIL E TAIR E ASEER JAISA HE

    RAKHA HE KYOO APNAA SITUMGERRRR MUJH SE ye ANDAAZZZ BERUKHI KA
    KHUBNA Is BERUKHI KA ZAALIM DIL E NAZUK MEIN TEER JAISA HE

    SUNNO HASEENO AASHIQOO KO DIYA KARO KHAIRAAT APNE HUSN KI
    MA'SHOOQO ! HAAL E KHARAAB MAREEZAAN E ULFAT KA HOTA FAQEER JAISA HE

    BAN JAYA KERTi HE HUBB E MAJAAZI PULL HUBB E HAQEEQI KA AE SALAAM
    YAQEENAN WASAL E KHUDA ISHQ WALOO KO MILNA PATHER PE LAKEER JAISA HE

    ================================



    Punjaabi Nazm


    koi pucho mere dil da haal
    ae jeevan hoyae sakht muhaal

    naina de pehlaan' teer chalae
    naqaab ulat jalwe dikhlae
    hosh o khired si qaidi banae
    husan da sutt k ohne jaal
    koi pucho mere dil da haal

    rehn laga oh dil wich wass ke
    keete qol qaraar v hass ke
    lae gya chain sukoon oh khass ke
    dil laya si jis de naal
    koi pucho mere dil da haal

    fir dushman ho dildaar gaya
    te chorr wich manjdhar gya
    mera dilber meinoo maar gya
    ulti churri thi ker halaal
    koi pucho mere dil da haal

    uss bedardi de khanjer khobe
    berukhyaan' de kande chobe
    armaan' mere dil de dobe
    sukh walloon' mein hoi kangaal
    koi pucho mere dil da haal

    he wich naseebe mer mer jeena
    dukh da zehr pyaala peena
    dil apne de phatt vi seena
    nai mukda mera runj malal
    koi pucho mere dil da haal

    koi pucho mere dil da haal
    ae jeevan hoyae sukht muhaal

    ========================







    Nahi chain aaya aik pal bhi , tum se milne k liye
    dil muztarib aisa huwa tere chale jaane k baad

    wo mere dil ka shehr jahaa tu hi tu aabaad tha
    viraan bilkull ho gaya tere chale jane k baad

    ker gaya shayar muje wo gham teri judai ka
    ghayal jis ne dil kia tere chale jane k baad

    yaad ker k kaali zulfoo surkh hontoo ko hay kitna
    dil udaas ho gaya tere chale jaane k baad

    bhaati nahi mere dil e ranjeeda ko ab koi khushi
    mei adhoora ho gaya tere chale jaane k baad

    ===========================



    lagti he hamaare dil pe chot ghazal kehte hei
    hoti he kabhi nashe ki tot ghazal kehte hei

    beh nikalte hei aansoo kisi ki berukhi per
    dekhte hei kisi ke dil mei khot ghazal kehte hei

    ab sache jazbo' ka salaam akkaas nahi shere
    log le ker kisi singer se not ghazal kehte hei

    ===========================



    thi faqat meri zindgi teri chaah tek
    tu gaya mera janaaza uth gaya
    _________________



    ghazal...

    aah o baka meri suna kere koi
    mere dard e dil ki dawa kere koi

    rulaa de kisi ko jo daastaane alam
    wo nala bhi sun ker hasa kere koi

    siske koi tair e muqayyad ki tarha
    phoolon ke jaise khila kere koi

    ger koi merz e ghum ka na ho chara
    phir maut ki hi duua kere koi

    aah log uss ke bhi na bane hamdard
    jo maut se pehle mara kere koi

    =======================


    ore bhi sun lejye janaab...

    Shareek ik doosre ke her dukh mei to ho jate hei log
    per haal us ka nahi poochte jo maut se pehle maara jae
    kyun ginte nahi hei dukho mei dukh us ka ye dunya wale
    behre gham e ulfat mei jo dil dibone ko he utaara jai
    ===============


    Geet no. 1




    Ae dilber ae jaan e jiger
    oh haseena oh jaan e bahaar
    aankho ki thandak ho tum
    ho tumhi mere dil ka qarar

    jab se dekha tumhei dilrubaa
    dil ye bechain sa ho gyaa
    beqaraari si chaane lagi
    mei madhosh rehne laga
    teri yaado ne ghaira mujhe
    cha gya dil pe tera khumaar

    ae dilber ae jaan e jiger
    oh haseena oh jaane bahaar



    ye teri adaa teri chaal
    tera husn tera jamaal
    kho gya chain mera kahi
    raat din ae tera khayaal
    ab raato ki neend urr gai
    kho gya mere din ka qaraar

    ae dilber ae jaan e jiger
    oh haseena oh jaane bahaar


    tu chanchal he rangeen he
    mere dil ki taskeen he
    dharkan ki tu he sada
    dil tera shokeen he
    ik teer e nazar ka tere
    ho gaya hu sanam mei shikaar

    ae dilber ae jaan e jiger
    oh haseena oh jaan e bahaar


    ae dilber ae jaan e adaa
    kabhi kerna na mujh per jafaa
    mujhe teri adaa ki qasam
    k sachi he meri wafaa
    kehta he ye mera dil
    tum mujh per karo aitebaar

    ae dilber ae jaane jiger
    oh haseena oh jaane bahaar
    aankho ki thandak ho tum
    ho tumhi mere dil ka qaraar


    =========================



    Geet No. 2



    TUM MERI ZINDAGI HO MERA HO QARAR
    KERNE LAGA HU SANAM TUM SE PYAR
    MOHBT MEI TERI REHNE LAGE HEI
    BETAAB DIL AOR YE JAA BEQARAR

    JAAN E JAA TERI MEHFIL MEI AAU GA MEI
    AE SANAM TUJH KO APNA BANAU GA MEI
    HE DILBER MUJHE TUM SE KITNI MOHBT
    CHEER K DIL YE DIKHAAU GA MEI

    TERE HONT GULAABI AUR AANKHEI SHARAABI
    DIL MEI HEI LAE BAHAAR

    TUM MERI ZINDAGI HO MERA HO QARAR



    TU MOHABBAT HE MERI, MERI AARZU HE
    MERE DIL KI DHARKAN MERI JAAN TU HE
    APNA BANA KER TUJHE GHAR MEI LAANA
    AE SANAM APNE DIL KI YEHI JUSTUJU HE

    ADAAO SE TERI AE MERE SANAM
    IK TEER HUWA DIL KE PAAR

    TUM MERI ZINDAGI HO MERA HO QARAR



    MOHABBAT MEI TERI MERI AANKH NAM HE
    IS DIL MEI TERI MOHABBAT KA GHAM HE
    YU APNI ADAA SE NA BIJLI GIRAAO
    MRI JAAN E JAANAA YE KAISA SITUM HE

    YE ZULFO KE CHHALLE , DE DO IJAAZAT
    CHHOO LOO INHEI AIK BAAR

    TUM MERI ZINDAGI HO MERA HO QARAR



    BOHOT KHOOBSOORAT AE NAZUK BADAN HO
    YEHI HE TAMANNA TU MERI DULHAN HO
    DUA HE K TUJH SANG BASSE MERA GHAR
    JO KUSHYO SE MEHKA HUWA IK CHAMAM HO

    MOHABBAT KE GHAM SE YE MERI DUA HE
    NA KOI BHI HO DILFIGAAR

    TUM MERI ZINDAGI HO MERA HO QARAR

    =========================



    najaane wo kahaa se kis umeed per ghareeb aaya
    jalaa diya perwaane ko shama ne jab qareeb aaya

    guzra tha na aik saans bhi jis ki yaad se khaali
    aakhiri saanso mei tha mei k jab tabeeb aaya

    deewangi ne achaanak jaga aql ki jab le li
    salaam rehe ulfat mei tha lamha wo ik ajeeb aaya

    ============================



    =============================
    Ghazal



    pilaa ker hosh ko baekhudi ka jaam bohot ziaada
    mei ne khud ko kia he badnaam bohot ziaada

    bhaane lagi thi dil ko jab teri hasee moorat
    maaloom nahi tha k hoga daam bohot ziaada

    sach yehi he k tu ne baechaini ussi pal di
    jis waqt dil maangta tha aaraam bohot ziaada

    na jaane kaatib e taqdeer tu ne kia soch ker
    likh daale hei kismat mei aalaam bohot ziaada

    guzaaro ge kahaa raat haal e wehshat mei Salaam
    ghar ka pata yaad nahi, he shaam bhohot ziaada

    =================================


    Ghazal


    mere dast e junoo ko wo rukhsaar na mila
    ik dard hi mila he ke dildaar na mila

    samajhta raha imtehaa tere sitam ko
    mei ujar gya hu mager pyaar na mila

    dard o alam e mohbt ke qaidkhaane se
    aah ik dukhi ko reh e faraar na mila

    badnaseeb hu mei k aasma se tujhe
    dil wafa kerne ko saazgaar na mila

    ae dosto likh dena sang e turbat per
    jahaa mei dil e taseer ko qaraar na mila

    =============================
    more is coming soon...
    Last edited by taseer86; 30th June 2009 at 01:21 AM. Reason: ghj

  2. #2
    ZoOp is offline Member
    Last Online
    14th October 2009 @ 01:12 PM
    Join Date
    03 Oct 2008
    Location
    City In Heaven
    Posts
    4,964
    Threads
    160
    Thanked
    17

    Default

    Wawo !!!!!!!!! gr8 yaar ais ko agr urdu main likhain tu ziada maza aye ga parhany ka wel bohat achi sahring hai thnx........

  3. #3
    Hope's Avatar
    Hope is offline Advance Member
    Last Online
    7th January 2020 @ 04:18 PM
    Join Date
    25 Jan 2009
    Location
    Islamabad
    Gender
    Male
    Posts
    17,405
    Threads
    750
    Credits
    74
    Thanked
    212

    Default

    Bhaot Umda

  4. #4
    taseer86's Avatar
    taseer86 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th August 2017 @ 02:17 PM
    Join Date
    29 Mar 2009
    Age
    37
    Posts
    57
    Threads
    15
    Credits
    1,050
    Thanked
    2

    Default

    urdu mei likhna ka experience nai he ., koshish kero ga . thank you very much for appriciation..
    Thanxxxxx....

  5. #5
    Sultana's Avatar
    Sultana is offline Advance Member
    Last Online
    5th November 2022 @ 02:49 PM
    Join Date
    02 Feb 2009
    Location
    ☼☼&
    Gender
    Female
    Posts
    36,591
    Threads
    1438
    Credits
    1,255
    Thanked
    4214

    Default

    good ha
    per urdu main sahre kartey tu or bhi ach ahota
    please keep going

  6. #6
    taseer86's Avatar
    taseer86 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th August 2017 @ 02:17 PM
    Join Date
    29 Mar 2009
    Age
    37
    Posts
    57
    Threads
    15
    Credits
    1,050
    Thanked
    2

    Default more kalaam

    aazaad naazm ''muskuraahat aor aansoo''
    children day per likhi gai


    wo bacha jo maele kuchaele kapre pehne
    galyo mei nange paoo phirta he
    poochte ho gandgi ke dhaer se kia dhoondta he
    dhoondta he wo kuch khaane ke liye
    khaata he wo maasoom aisi aisi cheezei
    jise mei or tum daekh bhi nahi sakte

    gham uske seene mei nehaa he
    ghareebi us ke hulye se ayaa he

    wo dekhta he bache ameer logo ke
    pehne huwe libaas shokh rango k
    khael rahe hote hei khilono se
    rehte hei mahallaat mei khush bakht
    to ik hasrato ka tufaan dil se uthta he
    khoon hota he maasoom aarzuwo ka
    or ashk aankho se beh nikalte hei

    ghareebi naam he beyaaweri ka
    dukh dard ka, bechaargi ka

    ae ahle dard , ponch lo wo aansoo
    usse kuch khaane ko do , pehenene ko do
    sir pe shafqat ka haath rakho

    usko taleem ki zaroorat he
    hamei tafheem ki zaroorat he

    un udaas bujhi bujhi aankho mei
    diye roshan hami ne kerne hei

    mei uski aankho mei chamak daekhna chaahta hu
    uske honto per muskkuraahat daekhna chaahta hu


    un bacho ko bhi mei ne daekha he
    jinhei aasaaishei muyassir hei
    jo hanste muskuraate rehte hei
    ye bache tae kerte hei bachpan se jawaani ka safer
    mager ahsaas o afkaar ki dunya ka safar nahi kerte

    jab daekhte hei ye badhaal logo ko
    to in aish paresto ke sakht dil
    murawwat or hamdardi ki tapish se pighalte nahi
    ye log kisi ke gham mei ghulte nahi
    qaabil e rahem badhaal logo ko
    mou nahi lagaate ye
    haqeer or kamter samajhte hei
    buraa bhala kehte hei


    ye log jo sangdil hei kaash
    dardmando ke banei hamdard
    dekh ker un ka haal
    mom hou in ke dil
    namnaak in ki aankhei hou

    mei inki chamakti aankho mei
    dard aashnaai ke
    aansoo dekhna chaahta hu
    haa , aansoo dekhna chaahta hu.

  7. #7
    taseer86's Avatar
    taseer86 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th August 2017 @ 02:17 PM
    Join Date
    29 Mar 2009
    Age
    37
    Posts
    57
    Threads
    15
    Credits
    1,050
    Thanked
    2

    Default more kalaam

    thanxx..


    aazaad naazm ''muskuraahat aor aansoo''
    children day per likhi gai


    wo bacha jo maele kuchaele kapre pehne
    galyo mei nange paoo phirta he
    poochte ho gandgi ke dhaer se kia dhoondta he
    dhoondta he wo kuch khaane ke liye
    khaata he wo maasoom aisi aisi cheezei
    jise mei or tum daekh bhi nahi sakte

    gham uske seene mei nehaa he
    ghareebi us ke hulye se ayaa he

    wo dekhta he bache ameer logo ke
    pehne huwe libaas shokh rango k
    khael rahe hote hei khilono se
    rehte hei mahallaat mei khush bakht
    to ik hasrato ka tufaan dil se uthta he
    khoon hota he maasoom aarzuwo ka
    or ashk aankho se beh nikalte hei

    ghareebi naam he beyaaweri ka
    dukh dard ka, bechaargi ka

    ae ahle dard , ponch lo wo aansoo
    usse kuch khaane ko do , pehenene ko do
    sir pe shafqat ka haath rakho

    usko taleem ki zaroorat he
    hamei tafheem ki zaroorat he

    un udaas bujhi bujhi aankho mei
    diye roshan hami ne kerne hei

    mei uski aankho mei chamak daekhna chaahta hu
    uske honto per muskkuraahat daekhna chaahta hu


    un bacho ko bhi mei ne daekha he
    jinhei aasaaishei muyassir hei
    jo hanste muskuraate rehte hei
    ye bache tae kerte hei bachpan se jawaani ka safer
    mager ahsaas o afkaar ki dunya ka safar nahi kerte

    jab daekhte hei ye badhaal logo ko
    to in aish paresto ke sakht dil
    murawwat or hamdardi ki tapish se pighalte nahi
    ye log kisi ke gham mei ghulte nahi
    qaabil e rahem badhaal logo ko
    mou nahi lagaate ye
    haqeer or kamter samajhte hei
    buraa bhala kehte hei


    ye log jo sangdil hei kaash
    dardmando ke banei hamdard
    dekh ker un ka haal
    mom hou in ke dil
    namnaak in ki aankhei hou

    mei inki chamakti aankho mei
    dard aashnaai ke
    aansoo dekhna chaahta hu
    haa , aansoo dekhna chaahta hu.

  8. #8
    Join Date
    23 Oct 2006
    Location
    Lalamusa
    Age
    39
    Posts
    7,054
    Threads
    198
    Credits
    0
    Thanked
    9

    Default

    bohat khoob janab..

  9. #9
    Join Date
    11 Mar 2009
    Location
    !@R $h! The /\/@/\/\e Of Po\/\/eR...!
    Posts
    2,422
    Threads
    115
    Thanked
    7

    Default

    Very Nice Dear bohat umda kya hi baat hy...!
    Khuda aapko qalam uthaye rkhny ki taqat aatta frmayein...! AAAAAMMMEEEENNNNN...!

  10. #10
    taseer86's Avatar
    taseer86 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th August 2017 @ 02:17 PM
    Join Date
    29 Mar 2009
    Age
    37
    Posts
    57
    Threads
    15
    Credits
    1,050
    Thanked
    2

    Default

    thank u very much .. ye bohot ibtadai zamana ki shayari he . inshalla jald nai shayari bhi bheju ga

  11. #11
    darpanrukh is offline Member
    Last Online
    26th March 2011 @ 07:36 PM
    Join Date
    05 Feb 2010
    Location
    ?????????????
    Gender
    Male
    Posts
    3,790
    Threads
    312
    Thanked
    493

    Default

    Bahut khub janab...gr8 sharing
    ki hai aapne...thank u

Similar Threads

  1. Self-written stunning poetry. 1
    By taseer86 in forum Design Poetry
    Replies: 10
    Last Post: 8th December 2021, 04:09 AM
  2. My own written poetry, read atleast once!!!
    By danish787 in forum Design Poetry
    Replies: 7
    Last Post: 10th August 2019, 03:12 PM
  3. My own written poetry
    By rajab1217 in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 2
    Last Post: 4th February 2014, 03:57 PM
  4. Nasab Ki Talash @ Salman taseer (must read)
    By Madni-munna in forum Halat-e-Hazra
    Replies: 0
    Last Post: 31st March 2009, 03:44 AM
  5. Truth about Sulman Taseer (Must Read)
    By Aasi_786 in forum Halat-e-Hazra
    Replies: 0
    Last Post: 15th March 2009, 09:34 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •