aap ne bare pyare andaz me bayan kiya hai k koi panjabi ya mughal weisa nahin samajh sakta jesa koi arabi samajh sakta hai,
is bare me sirf itna kehna chahoon ga k sirf arab se belong karna lazim nahin,abu jehal ko bhi arabi aati thi,aur wo bhi arabi samajhta tha,lekin jin ki ankhoon pe parde hoon wo kabi bhi nahin dekh pate...
Allah talah apne naik bandoon ko behar haal matalib samjhata hai,aur aj tak sakjhata aya hai,aaj tak jin jin logon ne quran ko samjha wo sub arabi nah the,
aap ne kaha k hum wahan us maqam k nazdeek hain,yeh beharhaal aap ki khushkismati hai.aur kyon k ye wo zameen hai jis pe hamare pyare aaqa huzur (s.a.w) paida hue aur muqadas hayat guzari isi liye hamare dil se wahan abad logon k liye dua nikalti hai k khuda us zameen pe rehne waloon ko maseeh-o-mehdi ko maanane ki toufiq ataa kare.ameen.
hijrat k sath wapis ana ka waqt koi lazim nahin k jald ho,haan yeh zurur hota hai allah hijrat me barkat rakhta hai,aur jo dushman ye soch k khush horahe hote hain k hum ne hijrat pe majboor kar diya,un ki khushi jald he khatam hojati hai jab khuda talah pehle se barh k taraqi k saman paida karta hai r dushmano k liye siwae hasad k kuch nahin bachta.aur jab allah talah ki taraf se ishare hoon wo zurur wapis aate hain,aur bari shan se wapis aate hain.
wo waqt bhi jald he ayega.ameen.
ap ne kaha momin banain gay tou he momino ki rafaqat nasib ho gi na..
mein apki ye bat zurur manta hoon., isi tarha agar nabi banain gay tou he nabi ki rafaqat nasib hogi na....khair ye apki baat ka jawab tha
Allah aur huzur(s.a.w) atta"at k karne k bawajud is duniya mein kya koi inaam nahin mileingay.tou phir sura fateha me kon se inaaamo ki duaeen karte rehte hain?
pehli ummato k liye un ki zindagi mein bhi aur hamare liye sirf aakhrat....
1 jumla ap ne kaha 1 mein kehta hoon k ye tou wo he baat hui
"na khuda he mila na wisaal-e-sanam"
huzur (s.a.w) se pehli ki nabiyon ki umaton ko shaheed aur saleh ka rutba diya gaya
magar hamare aaqa (s.a.w) jin ki umaat behtarin ummat hai.aur jis pak nabi(s.a.w) k liye duniya banae gayi us ki agar kamil atta"at ki jaye tou ye bhi na mile..
her giz nahin bal k agar jo hamare aaq(s.a.w) ki atta't kre khuda is aayat me une siddiq aur nabi k rutba ki bhi khushkhabri deraha hai.
choon k deen mukamal hochuka aur shariyat ki imarat aakhri eent lagne se mukamal hogye is liye sharie nabi nahin aasakta...
sirf mirza sahib ko na manne k liye kyon islam ki azmat ko kam karne ki koshish karte hain.khudara islam pe itna zulm na karain..
aur apni zaat per bhi..................
aur hazrat miraz sahib k aane se pehle ullama hazraat is baat ko maante the k sharie nabi aasakta hai..
lekin ye bhi haqeeqt hai k jab bhi koi nabi aaya logon ne use jhutlaya he hai....
zia bahi saaf dil ho k sochiye ga..aur jo mene likha ise aik bhai ka paigham samajh k ghor se parhiye ga...jazakumullah
Bookmarks