Main ne saudia janay ke liye apne uncle ke dost se contact kia hai wo wahan makkah main hotay hain. Azad visa per jana hai. Computer ka diploma bhi hai aur experience bhi. Main ne unhain kaha computer operator ka visa ho lakin wo kehtay hain azad visa hai us ka status chahy driver ka ho ya labour ka koi farq nahi parta. Ap ne wahan ja kar computer operator ki job hi karni hai.

Ab azad visa ke status ka saudia ja kar kitna amal dakhal ha koi bta sakta hai? Uncle ke dost kehtay hain wahan job dilwani hmara kam hai ap visa ka status ki fikr na karo... Plz guide me