MUZZAMMALL said:
Wa alaikum Salam bhai...
Bhai Saudi Arab Kay qanoon Kay mutabiq ap jis sponsor say visa latay hain usi Kay paas kaam karna hota hai Kiyon keh koi Arabian agar hakomat say visa leta hai to is liye keh employee ko apnay paas kam per rakhay aur apnay business Mai us ki khidmaat hasil karay...
Likan yahan visa ka karobaar bhi hota hai...matlab Arabian hakomat say visa letay hain aur phir un ko baich detay hain aur Jo qeemat Ada karta hai ya visa khareedta hai us ko Sara kharcha Uthana parta hai jis Mai passport banana..medical certificate...iqama fees labour fees...airplane ticket..aur visa Kay paisay aur Bohat kuch....to us visa ko azad visa kehtay hain...aur Saudi Arab pohanchanay Kay baad us visa ka Jo Arabian Malik hota hai Woh aap ko transfer day deta hai...
Baqi rahi baat Saudia Mai kaam ki to yeh itna asaan nahin Kitna sap keh rahay hain...door Kay dhol sohanay Kay mutabiq yahan per Bohat mehnat Karni parti hai...taraqi Kay chances naa honay Kay baraber hain...din ba din qanoon Sakth hotay ja rahay hain...
To aisi halat Mai mashwarah yeh hai keh aap company ki taraf say hi apply karain...contracted visa aik Bohat Bari neamat hai...Sab tension company ki ho gi..do saal baad teen Mahanay ki chutti
With tankhawah aur ticket...medical insurance...residence with food..convence... And much more....
Baqi ap Kay naseeb aur Allah ki marzi...
Allah ap ko kamyab karay aur behtar Faisla karnay Mai madad karai
Best of luck
Bookmarks