Wafa ruswa nahi karna
Suno! Aisa nahi karna
Main pehlay hi akela hon
Mujhe tanha nahi karna
Meri in jheel ankhon ko kabhi sehra nahi karna
Judai bhi jo aa jaye to dil chota nahi karna
Bohat masrof ho jana mujhy socha nahi karna
Bharosa bhi zarori hai magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai koi dawa nahi karna
Meri takmeel tum se hai mujhy aadha nahi karna
Jo likha hai wohi ho ga kabhi shikwa nahi karna
Bookmarks